Showing posts with label Science And Technology. Show all posts
Showing posts with label Science And Technology. Show all posts

Friday, May 29, 2015

Android Ny Phir Google kay Pury Khaimain Par Qabza Kar Liya

San Francisco:2005 main Google ny aik choti si mobile software company Android kharidi thi.is waqt Industry main sy kisi ko bhi is ki taqat ka adrak nhi tha jin main google ky chairman Arik Shamdet bhi shamil thy jinho ny 2009 main kaha tha ky aik din leri aur Surgy burn ny Android kharidli aur mjhy pata nhi chala.bad main company kay aik tarjmaan ny ny wzahat ki ky Mr.Shamdat Mazak kar rhy thy.Android mabeena toor par Google ko $5 core main pari thi jo itni bari raqam thi k check par chairman ky signature zarori thy.Android Aik software ha jo Smartphones,Tablets,aur bohat c dosri is qisam ki Machines chalata ha.Ab halat badal chuky hain Portable Computers ky door main Android Google ky Mustakbil ky liye lazim-o-mazim hogaye ha jysy koi qabo main nah anay wala Friendly bacteria aik bay has-o-harkat maizban ziyary par door rha ho.Android aj na sirf duniya ka sab sy popular Smartphone operating System balky kisi bhi qism ka sab sy maqbool operating system ha.Research forum Gartner ky mutabik 2014 main Aik Arab sy zayada Android Devices Farokht hoye jo is Doran farokht hony wali Apple IOS sy % gunah Aur Windows Machines sy 3 gunah zyada theen.